Sad love shayaris

Woh toh diwani thi mujhe tanha chod gayi,
khud na ruk saki toh apna saaya chod gayi,
dukh nahi gum is baat ka hai,
aankhon se kar ke waada baaton se tod gayi.

Tamanna koi bhi mere dil ki poori na hui,
Chahat ka koi afsana na bana,
Aaj phir chali gayi zindagi nazron ke saamne se,
Aur usse baat karne ka koi bahana na bana

Unhe Chahne ki khata ki humne,
Par unhe bhulne ka gunah na kar sake,
Unki judai me tadpate hai Roz,
Par unki Yaddo se dur ja na sake hum.

Katl kar wo katil ka naam puchte hai,
dard dekar wo dava ka naam puchte hai,
mar gaye hum unki ada pe,
khud khuda hokar mere khuda ka naam puchte hai.

Sapne ko sakaar samajh baitha,
Parchaai ko aakaar samajh baitha,
Uski thi hasane ki aadat,
Main uska pyaar samajh baitha

woh kahe to ussay bhool jaun main
yaad ussay bhi na aau kuch aisa kr jaun main
ek bar woh humse keh kr to dekhe
uske ek ishare pe khud ko bhool jain main

Aaj achanak teri yad ne rula diya
Kya karu tum ne jo mujhe bhula diya
Na karte wafa to na milti ye saza
Meri wafaon ne tujhe be-wafa bana diya.

Subha aati hai rula jaati hai,sam aati hai samjha jaati hai,tanhaiyaan humesa yeh puch jaati hai kya unhe v kabhi humari yaad aati hai?

Gila unse nahi koi,
gila apni majburiyo se karte hai,
wo aaj hamare karib nahi to kya,
mohabbat aaj bhi unki duriyo se karte hai.

Na Sham Udas hogi
Na rat Udas hogi
Safaid kapron me lapti hoi meri lash hogi
Ye dafnane wale mujhe waha dafnana
Jaha subah sam meri membuba se
Mulakat hogi.

Koi rutha hua shaksh aaj bahut yaad aya
ek gujra hua waqt aaj bahut yaad aya chupa leta tha jo mere dard ko apne dil mein
aaj fir dard hua to wo bahut yaad aya.

Tags: ,

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • Twitter
  • RSS

Leave a Reply